Scare of life
Zamana bahut kharab hai.
Aisa suna tha abhi to spasht praman bhi milne lage hai.
Nari sashaktikaran ki baatein karne walo saawdhan!
Yeh naari kafi sashakt ho chuki hai, aajkal astra shastra lekar chalti hai.
Hum kabhi sochte hai ki yeh naari bade bade thaile saath lekar kyon chalti hai.
Apni choti si samajh se yeh nishkarsh nikala ki shayad shringar ityadi ka samaan lekar chalti hongi.
Parantu hamara sochna theek nahi tha. yeh janiye kaise...
Ek samay ki baat hai
Hamari sehpathini Mamta ne humse poocha ki unka sangadak sambandh vicched nahi kar raha hai kya kabhi hamare saath aisa hua hai.
Hum kisi karya mein vyasta the so humne uttar diya "Devi ji ek hathoda le aayiye maan jayega"
Kuch pal pashchat hamein aisa prateet hua ki hamare peeche koi khada hai.
Humne mudkar dekha to Padma ji ke darshan hue, tabhi Mamta ji boli hathode se kya karen. Humein kuch samajh na aaya to hum bole ekdo prahar kijiye maan jayega.
Sangadak nei tatkal prabhav se kehna mana aur Mamta ji ki aagya anusar sambandh vicched ho gaya.
Humne phir ghoomkar dekha to hum hatprabh reh gaye.
Peeche ka drishya bhayawah tha. Padma ji ke haath mein sachmuch "hathoda" tha.
Hamari antaraatma tak hil gayi yeh kaisa chamatkar "Sangadak kaksh mein hathoda".
Kabhi dhoondhte hai to choti si keel bhi nahi milti "Sakshat hathoda kaise"
Hamein tabhi Schazeb ki yaad aayi aur socha yadi Padma ji ke irade nek nahi hue aur unki kripa drishti hum par pad gayi to jis narak mein kuch samay baad jaate wahan abhi pahuch jayenge.
Humara prabhu par vishwas aur badh gaya hai ki un dono deviyon ko is nirih prani par daya aa gayi, aur unhone hamein jivan daan de diya.
Aajkal jo bhi deviyan thaila lekar chalti hai unko dekhkar hum kalpna karte hai is thile mein kitna ghatak astra hoga.
conclusion" We need helmets our lives is in danger"